Manipal – An Unforgettable Story

Log kehte hai ye paid vacation hai tumhara,
Galat nahi kehte wo ye jaana hai maine,
Aadhi raat ko malpe jaana,
Rayt par baith kar chandni se nahana,
Canteen me baith kar teachers ki kichai,
Aur mithas lati hai yaha ki special chai,
IC ke saamne baith kar analyst banna,
Har roj waha couples ka analysis karna,
Manipal aaye ho ab,Toh be INSPIRED BY LIFE,

 

Jab paise ho pocket mein kum,
Toh uthao apne kadam,
Badho  Northy ya BQ mess ki ore,
Khao full on widout paying more

TC bhi kya gazab central point hai,
Chaho toh Greens me baith kar maje udao,
Excited ho bahut toh anatomy ghum aao,
Nahi toh TC mein baith kar nainsukh pao,

Ek saal hostel ka bhi kya gazab hai yaar,
9.30 tak khana khana,
Phir apni GF ko chodne jaana,
Aur khud chaud mein late hostel aana,
Lift mein dikhti hai sabki kalakari,
Koi likhe mesaage koi banaye sapno ki naari,
Diwali mein khoob phodo hostel mein bomb,
Khud sona toh chodo anna ki naak mein bhi karo dum,

College khatam hone par jab aati hai jaane ki baari,
Sabko yaad aati hai yaadein purani,
Flashback aa jaata hai aankhon ke samne pura,
FB pe aa jaati hai senti updates ki tsunami,
Khoj khoj kar nikalti hai photos purani,

Chapter hai bada gazab ka ye,
Yaad rahega zindagi bhar ye….

About the Poet: Sumit Mittal is a student at Manipal Institute of Communication (MIC), Manipal.

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*


This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.